Wednesday 28 September 2011

MAA BAAP KI KURBANIYA

zara yaad karo kya kya na saha ma ne
zara to yaad yaad karo kya sukh na dia pita ne
ye mat kaho ye unka farz tha so unhone kia
ye bhi mat socho ki unhone palan poshan swaarthwash kia
ma-baap ki aakhon ke taare unke bachhe hi to hote hain
ma-baap kabhi jaanke bachon ko apne nahi dukh dete hain
kya milega maa ki awaaz ko unsuna karke
kya milega boodhe baap ke kandho ko veeran karke
kabhi hum bhi badhe honge hume bhi koi papa,pitaji kahega
wo hamari saanson me basega,usme sapna hamara palega
gar vo bhi hamari tarah hume bhula baitha to kya karenge
mar mar ke jiyenge ya jee jee kar marenge
ye to hona hai awashya jo hum is baat par nahi vichar karenge
24 ghanton ke din me gar ek ghanta bhi apne validen ko na denge
santaan se bada koi sukh nahi hota jagat me
aur santaan se mile dukh se bada koi dukh nahi hota jagat me
chaar paison ke lie jo bhagambhaag hum macha rahe hain
zara si daulat aur aish-o-araam ko tavajjo die ja rahe hain
kabhi apni dooshit soch ya kisi dost ki baaton me bhi jo aa rahe hain
hakeekat to ye hai ki khud se hi dushmani hum nibha rahe hain
jab ma-baap na rahenge tab unhi ko khojte phirenge
abhi to hai jannat unke roop me phir dhoondhte phirenge
ma-baap aise farishtey hain jo zakhm khakar bhi bachhon ko baddua nahi dete
haay ye kalyug aaj bachhe apne ma-baap ko doston se bhi milane me hain sharmate
khud ko sambhalen hum zara tharen zara vicharen hum
ye shaan-o-shaukat ye ilm ye sanskaar hume unhi ne to die hain
hume pala posa kasht sahke bhi koi kasht na hume hone diye hain
aaj jab hum unke dwara bane to khud ki hi peeth thapthapane lage
unke upar zara se kharch ko bhi khud par bhojh samajhne lage
unhe kabhi bhi paise dhan daulat ki chaah nahi rahti
ye to unki hi dua hai hamesha hume kaamyaabiyan hain milti
phir aaj kaise itne kamzor,khudgarz aur kayar hum hote ja rahe
doston ke saath ghanton hansi thitoli aur utsav me bhi ma-baap ke ashish se katra rahe
jab unki izzat nahi kar sakte jan unka aadar nahi kar sakte phir bekaar hai sabkuch
dost bhi kah denge jan unke nahi hue to hum unke kaise ho sakte hain kuch
bekaar hai bhagwaan se haath jodna,dua karna aarti utaarna,bekaar hai sab kuch
mata-pita ke aashirwaad bina parmatama bhi nahi deta kuch...............................

No comments:

Post a Comment