Wednesday 28 September 2011

MAA KI MAMTA

mujhe yaad he...........
jab main tumhare pet me tha tabse tum mere se baat karti ho meri sabse pehli dost mere sapno ki hasrat tum hi ho maa tum tab kitne pyaar se apne armaan sajati thi mujhse kitni ummeeden hain tum mujhe batati thi tum kabhi kabhi udaas hoke bhi mujhse baat karti thi tu mujhe na rulana beta ye bhi mujhse kahti thi tum mujhe kabhi raaj-dulara kabhi mera lal kabhi chiraag kahti thi maa sach kahta hun bus is baat se ab bhi mujh me jaan rahti hai phir mere bachpan me maine hamesha tumko hi paya jab zara si chot lagi mujhe maine khud ko teri god me paaya jab koi nahi tha mere saath mere bachpaan me kuchh na tha khaas tune har taraf ujaala failaya tu hi mujhe nazar aati rahi aas-paas vo khel bachpan ke jo tum mere saath pyaar se khela karti thi maa tere hone se hi baagon me khushiyun ki kali khila karti thi Tune mujhe kabhi majbooran apne sapne nahi bataye maa main saye me teri vo palkon me meri khud hi palte aaye maatere sapno ke alava bhi mera ek hi sapna he mujhe tera har sapna har keemat pe poora karna hephir bade hone par maine jab jab hausle kum paaye maine aapke sirf aapke hi umeedon bhare haath paaye tera pyaar se mujhe kahna ki fikr na karo chalte raho manzilon se bhi aage badho sabko apna samjho sabse pyaar se raho teri vajah se haari baazi bhi hum jeet.te rahejo kabhi nakaam bhi rahe to use phir jeet.ke hi rahe maa ek tu hi he jise humne khud se pehle saath paya tum hi to ho meri zindagi ka pehla aur aakhiri sahara ye kaisa pyaar ma ki tune mujhe na batake hamesha sirf aage badaya chota sa sapna bhi tera poora kia tune use bada batake kitna sukoon paya tune mujhe tab bhi kisi ke khilaaf na bhadkaya hamesh insaaniyat ko hi sabse bada mazhab batayatere hone se saari mushkilen bahut aasaan ho jati he maa tum kitni achhi ho main tumhe bata na paunga tune kya kya na saha mere liye main bhula nahi paunga har janam me yehi chahunga jab bhi duniya me auunga bas me tujhe maa kehke bulaunga mera jivan maa bas tere mamta ki chaya he khuda se yehi maangta hun mujhe chahe jaisi zindagi mile har zindagi me mujhe meri maa tu hi mile tu hi mile bas tu hi mile................jai mata di

No comments:

Post a Comment