Wednesday, 28 September 2011

MAA [MAMTA KA SAGAR]

Jab Tu Paida Huwa Kitna Majboor Tha Yeh Jahan Teri Sonch Se Bhi Dour Tha Haath Paaon Bhi Tab Tere Apney Na Thay
Teri Ankhon Main Duniya Ke Sapney Na Thay Tujh Ko Aata Sirf Rona Hi Tha Doodh Pi Ke Kaam Tera Sona Hi Tha Tujh Ko Chalna Sikhaya Tha Maa Ne Teri Tujh Ko Dil Main Basaya Tha Maa Ne Teri Maa Ke Saaye Main Parwaan Chadne Laga Waqt Ke Sath Qad Tera Badne Laga Dhirey Dhirey Tu Kadiyal Jawan Ho Gaya Tujh Pe Saara Jahan Meharban Ho Gaya
Zor-E- Bazoo Pe Tu Baat Karne Laga Khud Hi Sajney Laga Khud Sanwarney Laga Ek Din Ek Ladki Tujhe Bhaa Gayei Ban Ke Dulhan Woh Tere Ghar Agayei Ab Faraayez Se Tu Door Hone Laga Beej Nafrat Ka Khud Hi Tu Bolney Laga Phir Tu Maa Baap Ko Bhi Bhulane Laga Teer Baton Ke Phir Tu Chalane Laga Baat Baat Pe Un Se Tu Ladne Laga Qayda Ek Naya Tu Phir Padnay Laga Yaad Kar Tujh Se Maa Ne Kaha Ek Din Abb Humara Guzara Nahin Tere Bin Sun Ke Yeh Baat Tu Tayesh Main Agaya Tera Gussa Teri Aqal Ko Kha Gaya Josh Main Aake Tu Ne Yeh Maa Se Kaha Main Tha Khamosh Sab Dekhta Hi Raha Aaj Kehta Hoon Peecha Mera Chor Do Jo Hai Rishta Mera Tum Se Woh Tod Do Jao Ja Ke Kahin Kaam Dhanda Karo Log Marte Hain Tum Bhi Kahin Ja Maro Bait Kar Aahen Bharti Thi Maa Raat Bhar Inki Aahon Ka Tujh Par Howa Na Asar Ek Din Baap Tera Chala Rooth Kar Kaise Bikhri Thi Phir Teri Maa Toot Kar Phir Woh Bhi Bas Kal Ko Bhulati Rahi Zindagi Isko Har Roz Satati Rahi Ek Din Maut Ko Bhi Taras Agaya Iska Rona Bhi Taqdeer Ko Bha Gaya Ashk Ankhon Main Thay Woh Rawana Huwi Maut Ki Ek Hichki Bahana Huwi Ek Sukoon Us Ke Chehre Pe Chaaney Laga Phir Tu Mayyat Ko Uski Sajaney Laga Muddatain Ho Gayi Aaj Booddha Hai Tu Tooti Khatiya Pe Pada Bora Hai Tu Tere Bacche Bhi Abb Tujh Se Dartey Nahi Nafraten Hain, Muhabbat Woh Kartey Nahi Dard Mein Tu Pukare Ke “O Meri Maa” Tere Dam Se Hi Roshan The Dono Jahan Waqt Chalta Rahta Hai Waqt Rukta Nahi Toot Jata Hai Woh Jo Ke Jhukta Nahi Bann Ke Ibrat Ka Tu Abb Nishaan Reh Gaya Dhoondh Ab Zor Tera Kahan Reh Gaya Tu Ahkaam-E-Rabbi Bhulata Raha Apne Maan-Baap Ko Tu Satata Raha Kaat Le Tu Wohi, Tu Ne Boya Tha Jo Tujh Ko Kaise Miley Tu Ne Khoya Tha Jo Yaad Kar Ke Gaya Daur, Tu Rone Laga Kal Jo Tu Ne Kiya Aaj Phir Hone Laga Maut Maange Tujhe Maut Aati Nahin Maa Ki Surat Nigahon Se Jati Nahi Tu Jo Khanse Tu Aulad Daantey Tujhe Tu Hai Nasoor Sukh Kaun Baantey Tujhe Maut Ayegi Tujh Ko Magar Waqt Par Bann Hi Jaye Gi Qabar Teri Waqt Par Qadar Maa Baap Ki Gar Koi Jaan Le Apni Jannat Ko Duniya Main Pehchan Le Aur Leyta Rahe Woh Badaun Ki Dua Usi Ke Dono Jahan, Uska Haami Khuda Yaad Rakhna Her Aulaad Is Baat Ko
Bhool Jana Na Rehmat Ki Barsat Ko

No comments:

Post a Comment